Fav. Songs!


Friday, October 28, 2011

मिला वो भी नहीं करते, मिला हम भी नहीं करते






















" "मिला वो भी नहीं करते, मिला हम भी नहीं करते,
वफ़ा वो भी नहीं करते, दगा हम भी नहीं करते,
उन्हें रुसवाई का दुःख, हमें तन्हाई का डर,
गिला वो भी नहीं करते, शिकवा हम भी नहीं करते,
किसी मोड़ पे मुलाक़ात हो जाती है अक्सर, 
रुका वो भी नहीं करते, रुका हम भी नहीं करते,
जब भी देखते हैं उन्हें, सोचते हैं कुछ कहें उनसे,
सुना वो भी नहीं करते, कहा हम भी नहीं करते

लेकिन यह भी सच है की उन्हें भी है मोहब्बत हमसे,
इंकार वो भी नहीं करते, इज़हार हम भी नहीं करते ..!"

Manish © 2011

Friday, October 7, 2011

‎~~Bass ItNi MohABbat Kafi Hai~~~



Tum hans K Milo Phoolon Ki Tarha...
Din Raat katein KhwaBon Ki tarha...
AwaRa Hawa Lehra K chale....
Lehra K Chale Jab Shaam Dhale...
Ek Pairr Taly Tum HanS K Milo.....
Bass Itni MohaBbat Kafi hai...
Tum Sath raho SaansoN Mein Raho..
Tum Pass Raho Aankhoo Mein Raho..
Tum Dil Mein Raho DharKan Ki Tarha... 
KhwaBoN Mein Raho YadOon Ki Tarha...
Bass itni Muhabbat Kafi Hai
Tum Hans K Milo ApNo Ki Tarha…

Manish © 2011

‎~*Bholi si ladki*~


Na huro ki tamanna hai na main pariyo pe marta hu
Wo ek bholi si ladki hai jise main pyar karta hoon
Kahu kyo chand usko, wo mujhse door rahta hai
Kahu kyo phool, jo murjhane pe majbur rahta hai

Kahu kyo hur jiska dusari duniya main dera hai
Pari main kyo kahu jiska paristan main basera hai
Sharab kahu kyo jo hosh sabke udati hai
Bahar usko kahu kyo jo khiza bhi saath lati hai

Main koi aur naam usko du iski kya zarurat hai
Wo ek ladki hai wo sharmo haya ki ek murat hai
Usi ki yaad main main zindagi ke rang bharta hu
Wo ek bholi si ladki hai jise main pyar karta hu

Wo meri jeet ka hasil, matae naujawani hai
Na wo khawabon ki malika hai na wo sapno ki raani hai
Ada uski anokhi hai, na chal uski nirali hi
Wo ek gori si ladki hai jo bahot bholi bhali hai

Main samjha bhi nahi sakta ke kitna pyar karta hu
Main bata bhi nahin sakta ke uspe kitna marta hu
Agar ek baar wo ruthe to main pahro manata hu
Kabhi usko hasata hu kabhi usko rulata hu

Zarurat se zyada hi main uske naaz uthata hu
Aur main sabke samne usko sar aankhon par baithata hu
Na aaraish pasand usko na fashion ki dil zyada
Mijaz uska hayaparwar libas uska bahot saada

Wo apni sadgi ko husn ki meraj kahti hai
Payam apni haya ko apne sar ka taaj kahti hai
Na wo had se guzarti hai na main had se guzarta hu
Wo ek bholi si ladki hai jise main pyar karta hu !!!


Manish © 2011

Tumhe jab bhi dekhata hun


Tumhe jab bhi dekhata hun....
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai....
teri aankho me jo mahobbat chhipi hai....
use paane ko dil chahata hai...

karta hai dil mera ki...
tum yun hi pass mere bethi raho...
dekhata rahun aankho me tumhari....
tumhari mahobbat me dub jaane ko dil chahata hai...

jab dekhata hun tere labo par naam me apna kabhi kabhi...
to ek becheni si mujhe satane lagati hai....
mera naam main tumhare labo se har pal sunna chahata hun..
jab bhi dekhata hun main tumhe...
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai...

log kahate hai main aasiq hun...
mujhsi mahobbat koi or kar nahi sakta...
jab bhi dekhata hun dil me chhipi tumhari 
mahobbat ko...tumhari chahat ko....
tumse mahobbat karna sikhana chahata hun...

kahate hai log ye bhi mujhe ki...
main baat baat par geet or gazale likhata hun...
sach kahun to jab se dekha hai tumhe...
tum par ek geet or gazal banana chahata hun...

jab bhi dekhata hun hawa ko tumhe chhuta...
kese vo tumhari julfo ki janjeero me 
ked khud ko karna chahat hai.......
main bhi in julfo ki janjeero me 
khud ko ked kar lena chahata hun....

jab bhi dekhata hun main tumhe.....
tumhe bas dekhate hi rahana chahata hun...
tumhe betha kar pass apne....
tum par hi apni har geet har gazal likhana chahata hun...
sach kahun agar tumhe to....
tumhe apna banana chahata hun......

tumhe jab bhi dekhata hai “Manu”....
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai....
hai jo mahobbat aanko me teri
hai jo chahat dil me tere....
use paane ko dil chahata hai

Manish © 2011