Fav. Songs!


Friday, October 28, 2011

मिला वो भी नहीं करते, मिला हम भी नहीं करते






















" "मिला वो भी नहीं करते, मिला हम भी नहीं करते,
वफ़ा वो भी नहीं करते, दगा हम भी नहीं करते,
उन्हें रुसवाई का दुःख, हमें तन्हाई का डर,
गिला वो भी नहीं करते, शिकवा हम भी नहीं करते,
किसी मोड़ पे मुलाक़ात हो जाती है अक्सर, 
रुका वो भी नहीं करते, रुका हम भी नहीं करते,
जब भी देखते हैं उन्हें, सोचते हैं कुछ कहें उनसे,
सुना वो भी नहीं करते, कहा हम भी नहीं करते

लेकिन यह भी सच है की उन्हें भी है मोहब्बत हमसे,
इंकार वो भी नहीं करते, इज़हार हम भी नहीं करते ..!"

Manish © 2011

Friday, October 7, 2011

‎~~Bass ItNi MohABbat Kafi Hai~~~



Tum hans K Milo Phoolon Ki Tarha...
Din Raat katein KhwaBon Ki tarha...
AwaRa Hawa Lehra K chale....
Lehra K Chale Jab Shaam Dhale...
Ek Pairr Taly Tum HanS K Milo.....
Bass Itni MohaBbat Kafi hai...
Tum Sath raho SaansoN Mein Raho..
Tum Pass Raho Aankhoo Mein Raho..
Tum Dil Mein Raho DharKan Ki Tarha... 
KhwaBoN Mein Raho YadOon Ki Tarha...
Bass itni Muhabbat Kafi Hai
Tum Hans K Milo ApNo Ki Tarha…

Manish © 2011

‎~*Bholi si ladki*~


Na huro ki tamanna hai na main pariyo pe marta hu
Wo ek bholi si ladki hai jise main pyar karta hoon
Kahu kyo chand usko, wo mujhse door rahta hai
Kahu kyo phool, jo murjhane pe majbur rahta hai

Kahu kyo hur jiska dusari duniya main dera hai
Pari main kyo kahu jiska paristan main basera hai
Sharab kahu kyo jo hosh sabke udati hai
Bahar usko kahu kyo jo khiza bhi saath lati hai

Main koi aur naam usko du iski kya zarurat hai
Wo ek ladki hai wo sharmo haya ki ek murat hai
Usi ki yaad main main zindagi ke rang bharta hu
Wo ek bholi si ladki hai jise main pyar karta hu

Wo meri jeet ka hasil, matae naujawani hai
Na wo khawabon ki malika hai na wo sapno ki raani hai
Ada uski anokhi hai, na chal uski nirali hi
Wo ek gori si ladki hai jo bahot bholi bhali hai

Main samjha bhi nahi sakta ke kitna pyar karta hu
Main bata bhi nahin sakta ke uspe kitna marta hu
Agar ek baar wo ruthe to main pahro manata hu
Kabhi usko hasata hu kabhi usko rulata hu

Zarurat se zyada hi main uske naaz uthata hu
Aur main sabke samne usko sar aankhon par baithata hu
Na aaraish pasand usko na fashion ki dil zyada
Mijaz uska hayaparwar libas uska bahot saada

Wo apni sadgi ko husn ki meraj kahti hai
Payam apni haya ko apne sar ka taaj kahti hai
Na wo had se guzarti hai na main had se guzarta hu
Wo ek bholi si ladki hai jise main pyar karta hu !!!


Manish © 2011

Tumhe jab bhi dekhata hun


Tumhe jab bhi dekhata hun....
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai....
teri aankho me jo mahobbat chhipi hai....
use paane ko dil chahata hai...

karta hai dil mera ki...
tum yun hi pass mere bethi raho...
dekhata rahun aankho me tumhari....
tumhari mahobbat me dub jaane ko dil chahata hai...

jab dekhata hun tere labo par naam me apna kabhi kabhi...
to ek becheni si mujhe satane lagati hai....
mera naam main tumhare labo se har pal sunna chahata hun..
jab bhi dekhata hun main tumhe...
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai...

log kahate hai main aasiq hun...
mujhsi mahobbat koi or kar nahi sakta...
jab bhi dekhata hun dil me chhipi tumhari 
mahobbat ko...tumhari chahat ko....
tumse mahobbat karna sikhana chahata hun...

kahate hai log ye bhi mujhe ki...
main baat baat par geet or gazale likhata hun...
sach kahun to jab se dekha hai tumhe...
tum par ek geet or gazal banana chahata hun...

jab bhi dekhata hun hawa ko tumhe chhuta...
kese vo tumhari julfo ki janjeero me 
ked khud ko karna chahat hai.......
main bhi in julfo ki janjeero me 
khud ko ked kar lena chahata hun....

jab bhi dekhata hun main tumhe.....
tumhe bas dekhate hi rahana chahata hun...
tumhe betha kar pass apne....
tum par hi apni har geet har gazal likhana chahata hun...
sach kahun agar tumhe to....
tumhe apna banana chahata hun......

tumhe jab bhi dekhata hai “Manu”....
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai....
hai jo mahobbat aanko me teri
hai jo chahat dil me tere....
use paane ko dil chahata hai

Manish © 2011

Monday, September 12, 2011

Mera Khyalo Me Ho Tum



^:^:^:Mera Khyalo Me Ho Tum:^:^:^
Main So Jau To Khuwabon Me Ho Tum
Main Jaagu To Mere Khyalo Me Ho Tum
Main Nazar Uthau To Meri Ankhon Me Ho Tum
Main Chalu To Meri Manzil Ho Tum
Main Likhu To Mera Qalam Ho Tum
Main Parhu To Meri Ghazal Ho Tum
Main Gungunau To Mera Geet Ho Tum
Main Sunau To Meri Daastan Ho Tum
Main Dhoop Me Hu To Mera Saibaan Ho Tum
Main Raat Me Hu To Mera Sahar Ho Tum
Main Sochu To Mera Khayal Ho Tum
Main Maangu To Meri Duaa Ho Tum. 

Manish © 2011

Door ho kar bhi



"="="=*Door ho kar bhi*="="="
Kyon door ho kar bhi
Koi dil ke paas rehta hai.
Dil ke paas ho kar bhi
Kyon us ka intezaar rehta hai.
Yeh kaisa dard hai
Jo meetha sa lagta hai.
Mehfil mein hoon magar
Mujhe tanha sa lagta hai.
Kyon ham har pal
Unke khayaalon mein khoy rehte hain.
Unke hi khayaalon se
Apni duniya sajaaye rehte hain.
Kyon lagta hai
Ham unke bina adhoore hain.
Mil jaaye agar woh
Tau saare sapne pooray hain........

Manish © 2011

MERI Mohabat Mere Jazbat



!~*MERI Mohabat Mere Jazbat*~!
MERI mohabat mere jazbat sirf TUM se hain
Dekho meri kainat sirf TUM se ha
Auron se pouchne ka mein haq nahi rakhta
Mere sawalat mere jawabat sirf TUM se hain
TUM ko malum hi nahi meri tanhai ka dukh
Meri sochen mere khayalat sirf TUM se hain
TUM sath ho to muqadar pe hai hakoomat apni
Mere har rishte ki soghat sirf TUM se hai
Agar kabhi bikhar jaon to sameet lena mujh ko
Hai mukamal jo meri zaat to sirf TUM se hai...!!!


Manish © 2011

Thursday, September 8, 2011

Main jab bhi usse puchhata hun


Main jab bhi usse puchhata hun...
ki tum har pal kaha khoyi khoyi rahati ho...
vo mushkura kar kahati hai 
apne khayalo me tumhe talasha karti hun
main kahata hun pagali tum har pal kya sochati rahati ho...
vo halke se najare utha kar kahati hai...
har lamha tumhare baare me hi socha karti hun
main kahata hun tumhare dil me kya hai...
kya kahata hai vo tumse...
vo kahati hai mere dil me sirf tum...
or kahata hai tum mere hi ho...
main kahata hun dhadakane tumhari tumse kya kahati hai
vo kahati dhadakane bas har pal 
tumhara naam hi lia karti hai
main kahata hun jab bhi usse ...
ki suna hai tum akasar ab aayino se baate kia karti ho...
vo kahati hai mujhe pata nahi ki...
vo main khud se karti hun ya tumse karti hun...
jab bhi aayine me khud ko dekhati hun...
tumhe hi paya karti hun......
main kahata hun tum mujhse mahobbat karne lagi ho...
vo kahati hai main nahi janti ki...
ye kya hai...ye mahobbat hai ya kuch or....
bas ab har pal tumhe hi chaha karti hun
main jab bhi puchhata hun usse.....
ki tum har pal kaha khoyi khoyi rhati ho...
vo mushkura kar kahati hai mujhse...
“Manish” har pal tumhare hi khayalo me khoyi khoyi rahati hun..

Manish © 2011

Mujhe Garv hai mai beti hun !!



Akasar main ye socha karti hun....
agar main iss dunia me,kabhi naa hoti to....
kise maa apni laadali,apni sahali kahati vo....
khel khel me kisse,apne dil ki baate kahati vo...
agar main na hoti to....
kisse kahati vo ye....
jab bhi main tumko yun haste khelate dekha karti hun...
dekh kar tumjhe yun haste khelate...
main bhi apne bachapan ko kuch pal or jee leti hun
agar main naa hoti to...
kise apne bachapan ka ek aayina samjhati vo...
agar main iss dunia main na hoti to...
apni ek nanhi si pari...apni ek gudia si beti...
papa kisko kah kar yun bulate vo...
kiski chikh ko kahate vo,bada achha lagata hai beti...
jab ghar me tum chidiyon si chahakati ho....
kisko kahate tu beti hi nahi,tu jindagi hai meri...
tu meri jaan hi nahi,mere ghar ki tu saan hai beti...
agar main naa hoti to
dulahan mujhe kisi ki banake....
apni aankho ke un sunhari khawabo ko kese pura kar pate vo
agar main iss dunia me naa hoti to....
kisse bhaiya thoda ladate.....
or kisse vo yun thoda thoda jhagadate...
kisse vo khud thoda thoda ruthate.....
or kisko ruthane par manate vo....
agar main naa hoti to...
apne sunne sunne hatho par.......
kisse payar ka dhaga bandhawate vo....
agar main iss dunia me naa hoti to.....
kise sayiyan ji apni dhulahan banakar....
apne sang apne ghar le jaate vo...
ye akasar “Manish” main socha karti hun....
agar main iss dunia me naa hoti to....
kisse apne ghar ka dipak pate vo....
kaise apna vansh chalate vo..
ye akasar “Manish” main roj socha karti hun
vans beton se nahi.....
ek bahu se badata hai....
sar fakar se uncha......
ghar me dipak jalane se nahi.....
ghar ki saan se uthata hai....
“Manish” garv hai mujhe khud par....
main ek beta nahi,main ek beti hun......
jo mahaj ek hi nahi....balaki kayi riste....
kabhi kuch to kabhi kuch......
bankar ke un rang birnge sab riston ko
bade payar se nibhati hun...
mujhe garv hai khud par....
kyun ki..........main ek beta nahi.....
main ek beti hun.....


Manish © 2011

Meri mahobbat hai vo


Meri mahobbat hai vo...
meri chahat hai vo....
use bhi mahobbat hai mujhse...
use bhi chahat hai mujhse
or vo mujhe mile ye koi jaruri to nahi....
ye kuch kya kam hai mere liye....
basa hai jo mere dil me.....
meri dhadakane ban kar....
chahat hai mujhse usse.....
apni jindagi se bhi badakar....
or vo samane ho meri aankho ke....
ye koi jaruri to nahi.....
de dun jaan apni main khusi khusi...
uske labo ki mushkurahat ke liye
manta hun bahate hai aansu mere...
ab to aankho se nikal kar..
yadon me vo jaa basa.....
ye hai chahat...koi qurbaan aye mahobbat to nahi...
us ke ghar ki taraf badate badate...
khud b khud hi ruk jaate hai mere kadam....
main uski badnaami se darta hun.....
ye meri koi majaburi to nahi....
kyun hote hai madhos log.....
meri dasta aye dil ko sun kar....
meri mahobbat hai vo...
meri chahat hai vo....
use bhi mahobbat hai mujhse...
use bhi chahat hai mujhse
or vo mujhe mile ye koi jaruri to nahi....

Manish © 2011

Sunday, September 4, 2011

Vo kahate hai humse hame bewafa na kaho...



Vo kahate hai humse.....
tum hume yun bewafa na kaha karo...

humne to bas ek jara sa 
khel khela tha tumse mahobbat ka....
dil apna bahalane ke liye...
humne to bas tumhare dil se khela tha..

hume kya malum tha....
tum sach me humse dil laga bethoge...
un kasamo or wado ko....
sach samjh betho ge...
hume to bas waqat gujarana tha ye kuch pal ka..

vo kahate hai humse....
tum hume yun bewafa na kaha karo...

hum to bas yun hi aadat thi....
khawabo se khelane ki...
hum to bas yun hi khawabo ko saja rahe the...
hume kya malum tha tum.....
us be rang khawabo ko haqiqat samjh bethoge...

humari to manjil hi kuch or thi
hume raah humari badani thi
hum to bas waqat gujarane ke liye...
tumhare sath the.....
hume kya malum tha...
tum hume hi apni manjil samjh bethoge..

vo kahate hai humse....
tum hume yun bewafa na kaha karo...

humne to bas ek.....
chhota sa majak kia tha mahobbat ka tumse...
hume kya malum tha....
humare majak to tum sach samjh bethoge.....

vo kahate hai ab humse.........
tum hume yun sare aam badanaam na kia karo....

bhul jaao ab tum hume....
vo khawab jo tute hai sab jhuthe the...
vo kasame vo wade sab jhute the...

vo kahate hai humse.....
tum hume yun bewafa na kaha karo...

humne to bas ek jara sa 
khel khela tha “Manish” tumse mahobbat ka....
dil apna bahalane ke liye...
humne to bas tumhare dil se khela tha..

vo bewafa kahate hai humse.....
tum hume yun bewafa na kaha karo......

Manish © 2011