Fav. Songs!


Wednesday, August 31, 2011

Tumhe jab bhi dekhata hun



Tumhe jab bhi dekhata hun....
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai....
teri aankho me jo mahobbat chhipi hai....
use paane ko dil chahata hai...
karta hai dil mera ki...
tum yun hi pass mere bethi raho...
dekhata rahun aankho me tumhari....
tumhari mahobbat me dub jaane ko dil chahata hai...
jab dekhata hun tere labo par naam me apna kabhi kabhi...
to ek becheni si mujhe satane lagati hai....
mera naam main tumhare labo se har pal sunna chahata hun..
jab bhi dekhata hun main tumhe...
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai...
log kahate hai main aasiq hun...
mujhsi mahobbat koi or kar nahi sakta...
jab bhi dekhata hun dil me chhipi tumhari 
mahobbat ko...tumhari chahat ko....
tumse mahobbat karna sikhana chahata hun...
kahate hai log ye bhi mujhe ki...
main baat baat par geet or gazale likhata hun...
sach kahun to jab se dekha hai tumhe...
tum par ek geet or gazal banana chahata hun...
jab bhi dekhata hun hawa ko tumhe chhuta...
kese vo tumhari julfo ki janjeero me 
ked khud ko karna chahat hai.......
main bhi in julfo ki janjeero me 
khud ko ked kar lena chahata hun....
jab bhi dekhata hun main tumhe.....
tumhe bas dekhate hi rahana chahata hun...
tumhe betha kar pass apne....
tum par hi apni har geet har gazal likhana chahata hun...
sach kahun agar tumhe to....
tumhe apna banana chahata hun......
tumhe jab bhi dekhata hai “Manish”...
tumhe dekhate rahane ko hi jee chahata hai....
hai jo mahobbat aanko me teri
hai jo chahat dil me tere....
use paane ko dil chahata hai.


Manish © 2011

Kaisi mahobbat hai ye meri



Kaisi mahobbat hai ye meri.....
har lamha usi ka khayal mujhe rahata hai...
har pal usi ki yaad me ye dil...
duba duba sa rahata hai....
rahati hai fikar khud se bhi jayada...
sirf us sakas ki hi mujhe....
kaisi mahobbat hai ye meri.....
ajeeb se sawalo ki ulajhan rahati hai har pal hi...
kya ho gaya hai ab ye esa mujhe...
ki ab khud se sawal karne laga hun...
kaisi hogi ? kaha hogi ?
ye kasmakas sawalo ki har lamha badane lagi hai....
ye kaisi mahobbat hai meri.....
jo har lamha usi ke khawabo me khoya rahata hun...
kya ho jaata hai esa ek pal me mujhe....
jab mushkan labo par uske aati hai..
to khud b khud hi main muskurane lagata hun...
mayusi jab chhati hai uske chahare par..
to ek pal me hi bechen sa ho jaata hun...
tadapne lagata hun lamha lamha bahut hi main...
kaisi mahobbat hai ye meri....
chhuta hai jab koi bhi gam usko...
to aankhe meri chhalak jaati hai.....
kya hua hai ab ye esa mujhe.....?
jo lamha lamha usi ka khayal hi mujhe aata hai....
rahati hai khabar uske dil ki...
dil ko har pal ki mere....
or vo kahte hai kabhi kabhi ki....
main unko samjhata nahi.....
kaisi mahobbat hai ye meri...
jo main unko samjhata nahi.....
kaisi bataun ab purav main usko,
ki ab tum kaise jeeta hun......
gujarata hai din to tanhayion me mera....
or raat bhar chhip chhip ke khud se rota hun....
kaisi mahobbat hai ye meri,
jo ek pal bhi main teri yaadon ke bina jeeta nahi
kaisi mahobbat hai ye meri,kaisi mahobbat hai ye meri..


Manish © 2011

Yunhi anjaane me unse mulaqat ho gayi



Yunhi anjaane me unse mulaqat ho gayi,
Dosti karne chala aur chahat ki baat ho gayi,
Har pal ye dil yunhi sochta rehta hai kuch,
Na jaane kab vo meri zarurat ban gayi,
Apni hi parchayi me talasha hai maine unhe,
Na jaane kab kaise unse mohabbat ho gayi.
Ye chaahat hai ki saath unke jee lun do pal,
Na jaane meri har saans kab unki amaanat ho gayi,


Manish © 2011

Hum thode nadan se hai



Hum thode nadan se hai,
thode se hai natkhat bhi,
thode bhole bhale thode setan se bhi
kya muje apnaoge....?
chupke se rote rehte hai akasr,
sabke samne to har pal hum haste hai,
bhul gaye mushkurana ab to hum
kya tum muje har pal hasna sikhaoge....?
chillaye agar kabhi hum par ,
to ruth jayenge hum tumse,
pyaar se agar humko manaoge to
us pal hi hum maan jayenge,
kya tum muje mere ruthane par mujhe manaoge..?
hum to sada aise hi khoye khoye se rahate hai,
hame na tum kabhi badal paoge,
kya tum muje tab bhi apnaoge....?
tumko humne apna hi samja hai har pal,
dusra koi or nahi iss dil me mere,
kya tum bhi muje apne dil me yun hi basaoge....?
gam aapko humse apna har ek dena hoga,
hum denge apni sari khushiya
humse humari khusiya apni samjh kar leni hogi,
kya tum bhi muje mujhsa chahoge...?
agar huye kabhi khafa humse....
aapko kabhi bhul naa payenge hum,
kahana kitana bhi kuch humko...
dena kasme kitani bhi chahe fir humko
ye galti hum har roj har pal dauhrayenge,
kya tum “Manish” ko apna humsafar banaoge.?


Manish © 2011

Tujhe kismat se lad kar paa to lia mene


Tujhe kismat se lad kar paa to lia mene
par ab tujhe khone ka dar lagata hai
hasa to dia hai ab mene tujhe....
ab iss hasi ke khone ka bhi dar lagata hai
tere dil me meri jagah to hai
malum hai mujhe....
par iss jagah ke khone ka dar lagata hai
tu hai mere iss dil ka chain......
ab tere bin bechain hone se dar lagata hai
tujhse hi hai meri har ek khusi ab
tujh bin ab gam ke anderon se bahut dar lagta hai
mil to gaye hai aaj hum........
lekin ab alvida kahane se dar lagata hai
tujhse hi hai ab ye jindagi meri
tere bin jeene se ab mujhe bahut dar lagatahai
tujhe paa to lia hai “Manish”........
kismat se apni lad kar mene.......
kahi kho na dun kabhi tumhe....
ye soch kar ab mujhe raat din dar lagata hai...


Manish © 2011

Ek baar kar k aitbar likh do



Ek baar kar k aitbar likh do
Kitna hay mujh say pyar likh do
Kat ti nahin ya zindagi ab taray bina
Kitna or karon intizar likh do
Taras rahay hain bari muddat say
Is baar apni muhabbat ka izhar likh do
Deewany ho jain jeesay par kar hum
Kuch aisay tum maray yaar likh do
Ziada nahin likh saktay tu na likho tum
Muhabbat bharay lafz do chaar likh do
Ek baar likho Muhabbat hay tum say
Phir yahi jumla baar baar likh do....


Manish © 2011

Aaj jaane kyun teri baaton pe yakeen karne ka jee karta hai



Aaj jaane kyun teri baaton pe yakeen karne ka jee karta hai,
tujhe apne kareeb laake baahon me bharne ka jee karta hai,

kabse ye baahen taras rahi hain kisi apne ko gale lagaane ko,
tujhe baahon me bharke jee bharke pyaar karne ka jee karta hai,

maaloom hai mujhe ki kitna saha hai tune mujhe paane k liye,
tere har dard ko tujhse chhinke apna bana lene ka jee karta hai,

kya kya khoya hai tune mujhe paane ke liye iska ehsaas hai mujhe,
ab tujhe wo sab kuch fir se lautaane ka mera jee karta hai,

jaane kyun aaj na chaahte huye bhi tujhe chaahne ka jee karta hai,
tere pyaar me doobkar tujhpe ek baar aetbaar karne ka jee karta hai....


Manish © 2011

Is jahaan me pyaari jurm hai kya



Is jahaan me pyaari jurm hai kya,
log kyun ise chori chhupe karte hain,
kehne to kehte hain tum mere sab kuch ho,
fir bhala zamaane se kyun wo darte hain,

kuch palon ki jhoote saath ke liye,
jaane kitne dil tute honge yahaan,
kuch logon ke niji swaarth ke liye,
jaane kitne ghar barbaad huye,

main ye nahi kehta ki pyaar na karo,
par karo to nibhaane ki koshish to karo,
chhod jaate ho bich raah pe aise,
ki na ji paata hai na mar paata hai koi,

tum to khush ho kisi ko paake apne liye,
pra kya kabhi socha hai uska kya hoga,
jisne chaaha hai tumhe saare jahaan se badhke,
is tanhaayi me haal uska kya hoga,

jaana tha to bhala aaye hi kyun tum,
ab aaye ho to na jao dur ab,
jee nahi paayenge tumhaare bina,
tumhi to meri saansen ho ab..


Manish © 2011

Tujhe dekhata hun to bas ek najar dekhata hi rahata hun



Tujhe dekhata hun to bas ek najar dekhata hi rahata hun....
log issi liye ab mujhe tera aasiq kahane lage...
kahate hai jab bhi main tujhe yun dekhata hun...
to khud se baate bhi karne lagata hun....
kaise kahun ab main un logon se ki...
main khud se baate nahi us pal....
tujhe pane ki fariyaad uss rab se yun kia karta hun...

Manish © 2011

Sunday, August 28, 2011

Zid



!~!~!~***Zid***~!~!~!
Tumhai'n zid hay k mai'n keh doo'n..
Mujhay zid hay k tum keh do..
Muhay tum say mohabbat hay..
Kaho, mujh say mohabbat hay..
Nahee'n yeh jaantay dono..
Mohabbat kab bhala mohtaaj hay, lafzo'n ki, baato'n ki..
Mohabbat to hamaari dharrkono'n k saaz may shaamil..
Surilay geet ki maanind..
Mohabbat yaad ki daivi..Jo tanha raat ko aksar uter aati hay aanko'n may..
Mohabbat muskuraahat hay, hasee'n naazuk say ho'nto'n may..
Mohabbat sandali ho'nto'n ki naazuk larzisho'n may hay..
Mohabbat sauch ki gehraaiiyo'n say phoot'ti khushboo..
Hamaisha saath rehti hay.
Mohabbat aankh may palta woh pursaraar jazbah hay..
Jisay ab tak nahee'n koi samajh paaya..
Na is ki koi soorat hay.
Na is ka koi paymaana..
Dhakay alfaaz may is ka bohot izhaar hota hay..
Kuchh aisay hi k jaisay ab..
Tah-e-dil say to hum dono..
Bohot iqraar kertay hai'n..Mager phir bhi na-jaanay kyu'n..
Tumhai'n zid hay k mai'n keh doo'n..
Mujhay zid hay k tum keh do..
Mujhay tum say mohabbat hay..
Kaho, mujh say mohabbat hay.......!

Manish © 2011

Mere jaise ban jaogay jab ishq tumay ho jayega



*`*`*`Mere jaise ban jaogay jab ishq tumay ho jayega`*`*`*
Mere jaise ban jaogay jab ishq tumay ho jayega,
Deewaroon se takraogay jab ishq tumay ho jayega,
Her baat gawara karlogay mannat bhi magaa karooogay,
Thaaweezein bhi bhandwaogay jab ishq tumay ho jayega,
Tanhai k jhoolay jhoologay ar baat puraani bhoologay,
Aaine se gabraogay jab ishq tumay ho jayega,
Jab suraj bhi kho jayega aur chaand kahin so jayega,
Tum bhi ghar der se aaogay jab ishq tumay ho jayega,
Becheni jab bar jayegi aur yaad Kisi ki aayegi,
Tum meri ghazlein gaaogay jab ishq tumay ho jayega..........

Manish © 2011

Kitni Nadaan Thi Wo Larki



!*~*~*Kitni Nadaan Thi Wo Larki*~*~*!
Jo Khiyalon Ki Dunya Main Basti Thi
Sochon Key Maskan Main Rehti Thi
Wo Weraan Yadon Ke Daman Main Bandhi Rehti Thi

Kitni Nadaan Thi Wo Larki
Jo Kitabon Main Gum Rehti Thi
Afsano Main Apna Kirdaar Talashti Thi
Kuch Na Panay Ki SooraT Main Udaas Si Ho Jati Thi

Kitni Nadaan Thi Wo Larki
Jo Apney He Khiyalon Main Uljhi Uljhi Rehti Thi
Janey Kiya Soochti Per Kuch Bhe Na Keh Pati Thi
Dunya Key HanGamo Sey Parey Tanhaii Main Rehti Thi

Kitni Nadaan Thi Wo Larki
Jo Apney Ird Gird Ki Dunya Sey Ghabraii Hui Rehti Thi
Or Apney Wajood Ko Khud He Thukra Dena Chahti Thi
Wo Sab Raston Pey Jati Thi Or Murr Key Wapas Aati Thi

Manish © 2011

Abhi Ghar na Jana


!~***"ABI GHR NA JANA"***~!
Ye bikhri c ZULFEIN,
Ye phela sa KAJAL,
Ye becain ANKHAIN,
Ye simta sa ANCHAL,
Tere haal se log pehchan lein ge,
Tujhe dekh ksb mujhy jan lein ge,
Ye behekty qadam lrkhrati jawani,
Ye betab dil or MUHABAT dewani,
Shafak jaise galon pe ubhri hoi hansi,
Mere honton ki ik mehekti nishani,
Tere jism se urrti mer YE khushbo,
Suna de gi hr ik ko sari kahani,
Na bn jaye apna millan ik fasana,
Suno,
"JAN-E-JANA"
"ABI GHR NA JANA" 

Manish © 2011 

Aahat Aahat intezaar kr k dekhna



Aahat Aahat intezaar kr k dekhna
kabhi kisi se pyar kr k dekhna

Toot jate hain khoon k rishte bhi
Ghaltiyan do-char kr k dekhna

Agar zndagi ka falsafa smajhna ho
barish me kachi dewar khadi kr k dkhna

Kaee janam beet jayen ge jana
kabhi meri mohabbatein shumar kr k dekhna

Manish © 2011

Mai aksar tum se kheta hun



Mai aksar tum se kheta hun ki tum
shour buhut machaati ho..
phir tum mujh se kheti HAN...
"Jb kalai meri tum pakro gay,
choori tou meri khankey gi,
choori ka shour tou hota hai,
Jb pyar se mujhe bulao gay,
tb dourr k mein aa jaun gi,
phir paayal merikhankey gi,
Payal ka shour tou hota hai,
Jb bindiya meri chamkey gi,
Ankhon mai tumharey damkey gi,
jazbey shour machaye gay,
Jazbon ka shour tou hota hai,
Jb zulf meri shuljhao gay,
Jb gajrey ko bikhraao gay,
tb sasnsein meri mehken gi,
Saanson ka shour tou hota hai..!!!

Manish © 2011

Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna,



Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna,
Mien Pehley he akela hoon mujhey tanha nahi karna
Judai bhee jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohot masroof ho jana mujhey socha nahi karna
Bharosa bhee zaroori hey magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hey kabhi dawa nahi karna
Jo likha hey wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna
Meri takdeer tum sey hey mujhey aadha nahi karna
Haqeekat hey Milan apna isey sapna nahi karna

Manish © 2011


Doo Chaar Wafain mangi theen



Doo Chaar Wafain mangi theen

Kuch meethay lamhy mangay thaay
kuch sard hawain mangi theen

Hum ny to zamany walon sy
Doo Chaar Wafain mangi theen

Barsaat k har ak badal nay
je bhar k hum ko tarsaya tha

Hum bheeg sakain yeh socha thaa
aur kali ghatayen mangi theen

Nakaam howe jab ulfat main
majboor howe jo milny say

kuch un k leay koch apny leay
hum ny be duain mangi theen

Doo Chaar Wafain Mangi theen

Manish © 2011

Ye na mumkin si koshish hy mohabat soch k kerna



Ye na mumkin si koshish hy mohabat soch k kerna

khabi kuch soch k likhna kabi kuch soch k parhna
ye na mumkin si koshish hy mohabat soch k kerna

kissi ka dil ruba chehra or us pe dil'nsheen aankhen
k jisko dekh k jeena usi k nam pe marna

ye na mumkin si koshish hy mohabat soch k kerna

khayalon me bana lena kissi ka aks dheere se
chura k rung sapno k kissi ki aankh main bharna

ye na mumkin si koshish hy mohabat soch k kerna

Manish © 2011

Kuch yaden hen un Lmhon ki Jin Lmhon men hm Sath rahy.



Kuch yaden hen un Lmhon ki
Jin Lmhon men hm sath rhy
Khushiyon se bhare jzbat rhy
Ek omr guzari ha hm ne
Jahan ruthe huwe b hste the
Kuch kehte the kuch sunte the
Hm roz subha jb milte the
To sb k chehre khilte the
Pur lutf wo mnzr hota tha
Sb mil kr baten krte the
Hm soch k kitna hste the
Wo gonj hmare hsne ki
Ab ek purani yad bani
Ye baten hen un Lmhon ki
Jin Lmhon men hm Sath rahy.
I MISS MY ALL FRNDZ



Manish © 2011

laakh doori ho magar ishq nibhaate rehna


laakh doori ho magar ishq nibhaate rehna
jab bhi barish ho mera gam manaate rehna

tum gaye to sarr-e-shaam yeh aadat thehri
bus kinaare pe kharre haat hilaate rehna

jaane is dil ko yeh aadab kahan se aaye
unki raaho mein nigaaho ko bichaate rehna

aek muddat se ye mamool hua hai ab to
aap hi roothna aur aap manaate rehna

tumko maloom hai "Manish" ke yeh pagal-pan hai
door jaate huay logon ko bulaate rehna

Manish © 2011

Saturday, August 27, 2011

Etani hasin hai vo meri jaan



Phoolon ki khushbu se jayada...
mahakata hai sone sa badan uska.....
sarma jaaye kaliya bhi uski mushkan dekh kar
etani payari hai meri ♥♥♥ ki mushkan
chamakate ho sitare jese...
daman me har pal uske...
koyal se bhi mithi hai uski aawaj
chand bhi chip jata hai ye dekh kar...
badalo ke aagosh me...
or sochata hai ab aasama me mera hai kya kaam
jab chandi to khud aa nikali jamin se
kaisi hai ye kudarat ki saan...
badi hi fursat se banaya hoga....
uss rab ne aye meri jaan....
farishton ne nahi tujhe......
khuda ne apne hatho se sajaya hoga meri jaan
bane hai hum bhi ussi mitti se aye sanam...
lekin lagata hai khuda ne ...
taraas kar sone se tujhe,
chandani se nahalaya hoga.....
dekha hoga badi hi hasrat se huron ne bhi tujhe..
pariyon se bhi hasin lagata hai ye insaan
kaise kare “manish” tarif apni jaan ki
alfaaz bhi kam padate hai kahne ko ....
bas kah deta hun etana hi tum sab se...
etani hasin hai vo meri jaan....

Manish © 2011

Kaash ye usse kah deta



Kaash ye usse kah deta....
jara dhayan rakhana .....
ye meri pahali mahobbat hai....
dhundata tha jo payar main apno me....
vo payar mahobbat tujhme dekhi hai
rakhana khayal tum meri wafa ka...
ye meri pahali mahobbat hai....
mat khelana oron sa dil se mere.....
ye meri aakhari mahobbat hai.....
chahat hai bahut mujhme......
dekh liye anjaane me khawab bahut.....
in aankho ne bhi meri......
jara khayal rakhana.....
ye khawab mere bahut hi naajuk hai......
kaash ye usse pahale kah pata....
jara dhayan rakhana 
ye meri pahali mahobbat hai
dar lagata hai logon se bahut ab mujhe....
kahate hai akasr log chahare bhi bhul jaate hai
bas ek jara si gujaris hai tumse......
bhul naa jaana chahara tum mera....
meri jayada nahi to 
thodi bahut hi pahachan jarur rakhana
tum jindagi ho ab meri...
tumhe bhul pana ab mere bas me to nahi
mat samjhana chahe koi khas tum apna...
bas ek tamna hai mere dil ki....
ek khawab samjh kar to mujhe yaad rakhana..
kaah kah pata usse purav main.....
jara dhayan rakhana.....
ye pahali pahali mahobbat hai meri.........
ye pahali pahali chahat hai meri.....


Manish © 2011

Sunday, August 21, 2011

Ek roj ek ajeeb sa sawal kia usne

Ek roj ek ajeeb sa sawal kia usne...
usne mujhse kaha,malum hai ye mujhe ki...
bahut mahobbat karte ho tum mujhse...
bahut chahate bhi ho tum mujhe....
par ye etani mahobbat etani chahat...
kyun karte ho tum mujhse...?
thoda sa aasan thoda sa muskil sa tha ye sawal uska...
jawab janta bhi tha main,or janta bhi nahi tha...
maine kaha nahi janata ki,
kyun main tumse etani mahobbat karta hun...
bas etana hi janta hun main.....
ek dil hai tumhare pass.....!
jo dil se mene bahut mahobbat karta hai....
chahata hai vo mere dil ko diwango ki tarh......
mahobbat hai ek duje ho bahut ek duje se...
sayad issi liye main tumse etani mahobbat karta hun

Ek roj ek ajeeb sa sawal kia usne ...
fir usne kaha chalo thik hai maan lia ki...
par ab ye batao ki kisne kaha ki....
mera dil tumhare dil se etani mahobbat karta hai
main janta bhi tha jawab uska or thoda janta bhi nahi tha...
mene kaha ab kese bataun tumhe....
kaise kahati hai ye aankhe mujhse
kitani mahobbat karti ho tum mujhse...
kahata hai vo aankho ka tera intejar mujhse...
vo teri aankho ki nind mujhse...
vo raaton me kabhi khud se,
kbhi chand sitaron se meri baate karna...
vo labo se halake halke mera naam baar baar lena...
kaise bataun ab main tumhe kese batate hai ye lab tere...
kitani mahobbat karta hai dil dil se mere....

Ek roj ek ajeeb sa sawal kia usne ...
usne kaha malum hai ye to mujhe ki...
bahut mahobbat karte ho tum mujhse..
par etani mahobbat kyun karte ho tum mujhse...
ab kese bataun usko ki,kyun karta hai...
Manish etani mahobbat tumse..

Manish © 2011

Ek ajeeb si kasmakas me hun

Ek ajeeb si kasmakas me hun...
ye kasmkas unko bataun kese
kitana hai sine me mere payar unke liye...
ye payar unko dikhaun kese
likh kar kahun main ya hothon se hi kah du
jataun unko ki kitani mahobbat karta hun...
ya koi halka sa esara hi kar dun
sab kuch samjh kar bhi
kuch samjh nahi paya ab tak..
ek ajeeb si kasmkas me hun...
kese kahun main unko...
mujhe unse payar bahut hai
rahata hai intejar sada unke aane ka mujhe
meri aankho ko usko dekh lene ki payas bahut hai
kese kahun usse ab main...
kahana hai bahut kuch tumse...
par alfaj kuch bhi nahi pass mere
chahata hun ab bahut main tumhe..
ek ajeeb si kasmaks me hun
ye kasmakas unko bataun kese
kitana payar hai dil me mere unke liye
ye payar unko dikhaun kese.............

Manish © 2011

Friday, August 19, 2011

Is tarah se na dekho mere haste hue chehre ko

Is tarah se na dekho,mere haste hue chehre ko,
hotho ki muskan k piche,raaz bahut gahre hai…
sabko lagta hai ye,kitni aasani se paya hai manzil ko,
is manzil k rasto mai,jane kya kya khoya maine,
dikhti hai ab har taraf,yaha roshni bikharti hui,
jane kitni baar jale hath mere,yaha bus ek DIYA jalane ko….
is tarah se na dekho,mere haste hue chehre ko,
jine k is andaz mai,Zakham bade gahre hai…


अन्ना हजारे जी का साथ दे और देश को भ्रस्ताचार मुक्त कराये

सलाम करता हूँ मैं देश के इस जज्बे को ,
सर झुकता हूँ मैं इस गाँधी के चरणों मे |

मुझे दुःख नहीं कि मैं इस भीड़ में कही खो गया हूँ ,
पर खुश हूँ कि मैं भी इस भीड़ का एक हिस्सा हूँ |

नमन करता हूँ इस जन सैलाब को,
नमन करता हूँ मै अहिंसा के प्रतीक दोनों महात्माओ को |

अब वक्त ने करवट ली है बदलाव कि ओर,
अब हमारा भविष्य होगा सुरछित हाथो की ओर |
:::::::::::::::::::
जय हिंद

My Love for you is !!


Manish © 2011

Wednesday, August 17, 2011

Kaash hamein bhi kisi pari se pyar ho jaaye

Kaash hamein bhi kisi pari se pyar ho jaaye,
Chahe phir hamari zindgi hi kyun na bekaar ho jaaye,….
Uski yaadon me har pal main khoya karoonga,
Khud se bhi zyada pyar main use kiya karoonga,
Aaj akela hi hoon main ek sitara,
Kal chaar-chaand ho jaaye,….
Kaash hame bhi kisi pari se pyaar ho jaaye,….
Main tanha na phir raha karoonga,
Na khud sounga na use sone diya karoonga,
Yara khwabon me hi sahi deedaar to ho jaaye,
Kaash hame bhi kisi pari se pyar ho jaaye,….
Doosroan ko dekh kar aata hai ye khayal mujhe,
Kya mera bhi sapna kabhi poora hoga,
Mujhe chahane wala bhi kya kabhi dooja hoga,
Ek baar jeet jaaun chahe phir haar hi kyun na ho jaaye,
Kaash mujhe bhi kisi pari se pyar ho jaye,…..
Haalaat aise hain ke na shauk poore hote hain, na tawajjoh kisi baat par,
Doston ki maashook se bhi aata hai maza har mulaaqaat par,
Ab nahi hota hai sabr, ham par bhi koi bas jaan-nisaar ho jaaye,
Kaash mujhe bhi kisi pari se pyar ho jaaye...

Manish © 2011

Monday, August 15, 2011

Tumhaare is pyaar ko dekh

Tumhaare is pyaar ko dekh
mujhe bhi pyaar aa raha hai aaj
tumhe baahon me bhar ke apne
fir gum ho jaane ka mann hai aaj,

tumhaari aankhon ki chamak bata rahi hai
ki kitna pyaar karti ho tum mujhse
lagta nahi ki ye pyaar puraana hai apna
lag raha hai meri dulhan ban ke aayi ho aaj,

ye khila rang tumaahare aankhon ka
gulaab ki pankhudiyon se tumhaare honth hai aaj
maang ki sindoor kuch kuch bikhri hui si
aur tumhaari khuli julfon me kuch jaadu hai aaj,

baithe rahon yunhi mere kareeb tum
tum yahin khoye rahon mere khayaalon me aaj
khoke mujhme bhool jaao saari duniya ko
paas mere baith ke yunhi muskura lo aaj...

Roz roz tumse baat karne ki aadat hai meri

Roz roz tumse baat karne ki aadat hai meri,
tumhaari awaaz me doob jaane ki aadat hai meri,
awaaz meri kaano se lagana tumhe bhi pasand hai na,
tumhe bhi ghanto mujhse baat karne ki aadat hai na,

tumhaari muskaan ko yaad karne ki aadat hai meri,
yaad kar ke tumhe muskuraane ki aadat hai meri,
tum bhi to meri muskaan pe mar mitti ho na,
mujhe dekh tumhe bhi muskuraane ki aadat hai na,

tumhaari raahon pe aankhen bichhana aadat hai meri,
tumhaare intezaar me ghadiyaan bitaana aadat hai meri,
tum bhi to meri raahon pe palken bichhaye baithi ho na,
tumhe bhi kuch kuch meri tarha tadapne ki aadat hai na,

meri har aadat tumse hi shuru hoti hai na,
meri har aadat tumpe hi khatam hoti hai na,
dekha hai jab se tumhe tum meri aadat ban gayi ho,
aur mujhe apna samajhna tumhaari bhi aadat hai na,

bolo na meri jana, ye mera paagalpan hi hai na,
kaho na ek baar, ye mera deewaana pan hi hai na,
main jo tumhe chahta hoon sabse badk ke itna,
meri ye mohabbat bhi to meri aadat hi hai na,

kaho na meri jaana meri mohabbat meri aadat hai na,
keh do na, tumhe chaahna meri ek aadat hi hai na...

Saturday, August 13, 2011

From Sumbul :)

This wallpaper has been made by my sweet sister "Sumbul"





हर दिन तुझी को याद करता हूँ

हर दिन तुझी को याद करता हूँ
न जाने दिनों दिन तुझे और याद करता हूँ,
नहीं पता रहता की कब होगी आपसे बात,
लेकिन जब भी बात होती है बहुत सुकून मिलता है इस दिल को,
फिर कुछ देर बाद वैसे ही तेरी यादों मै खो जाता हूँ मै,
मै जनता हूँ तुम्हे ज्यादा बात करना नहीं आता,
लेकिन तुम कुछ कहके भी बहुत कुछ कह देती हो,
दो लफ्जो ही होती है मेरे लिए सब कुछ,
अब तो वोह दिन का इन्तिज़ार जब होगी तुमसे मुलाकात,
बस तुम्हारे यादों मै खोया सा रहता हूँ हर पल तुम्हे खुदके पास पता हूँ,
हर दिन तुझी को याद करता हूँ
न जाने दिनों दिन तुझे और याद करता हूँ !

Friday, August 12, 2011

Eek dost mila tere jaisa

"Eek dost mila tere jaisa,
Na jane mila kaise,
Dost toh itifak se milte hai,
Mai kehta hun tere jaise dost naseeb se milte hai"

Manish © 2011

यादों के सूखे पत्तो में बन बारिश की बूँद समा जाना

यादों के सूखे पत्तो में
बन बारिश की बूँद समा जाना
में फ़िर तुमसे मिल जाऊँगा
तुम फ़िर मुझसे मिलकर जन

कई बार बुलाया तुमको मैंने
तुमने आना न स्वीकार किया
न जाने है कैसी चाहत
जो मिला नही उसी से मैंने प्यार किया
झकझोरा कई बार मुझे
मेरे मन के स्वाभिमानी तारों ने
जो प्यासे दिल की प्यास न समझे
व्यर्थ है जाना अमृतघट के ऐसे गलियारों में

पर क्या समझे ये मन मेरा
इस प्यास की ही तो मृगत्रिष्णा है
जो मिला इसे स्वीकार नही
अप्राप्त को समझे अपना है

लगता इसको हर बार यही की
खोने में ही इसने अपना सब कुछ पाया है
समझा न सका मे अब तक इसको
ये प्रेम है या केवल एक इक भ्रम का साया है

तुम आकार अपनी बातो से फ़िर
दो टूक इसे समझा जाना
यादों के सूखे पत्तो में
बन बारिश की बूँद समा जाना

खामोशी को तोडिये.मौनवृत को छोडिये

खामोशी को तोडिये.मौनवृत को छोडिये ये चुप्पी बड़ी जान लेवा है,रिश्तों को तोडती,बातों को मरोड़ती

साँसों को झकझोरती,प्राणों को सोखती,आइये इसे विदा करें,जीवन से हमतुम,जो कहना है हमको,

कंहे एक दूजे को,न रहो अब यूँ गुमशुम,खोये-खोये से,सोये-सोये से तुम कुछ अपनी कहो,मै कुछ अपनी कहूँ,

यूँ दूर बैठ कर पल न गवाएं,आज तो प्यार से इक बार मुस्कराएँ,इक बोल तू कहे,इक बोल मै कहूँ,

और आज नजदीक हम,नज़र न झुकाओ अब,कहकशां बुझी बुझी,रत है कुछ अनकही,ये धरा और ये गगन,

आज है मगन मगन इस धरा से प्यार से,कुछ तो बोलिए,खामोशी तो तोडिये,मौनवृत को छोडिये !


Monday, August 8, 2011

Hum Teri Yaad K Pinjray Men Qaid Panchi

"Hum Teri Yaad K Pinjray Men Qaid Panchi

Urna Chahain Bhi To Ye Soch kr Urr Nahi Patay

Bahir Tanhai ki Hawa Hogi

Be'Rehm Waqt ki Fiza Hogi

Kon Dalay Ga Teray Pyar ka Dana Hum ko

Tujh Se Milnay ka Milay Ga Na Bahana Hum ko

Din kahan Guzrey Ga

Uski To khabar Hi Nahi

Kaisy Guzrey Gi Raat Apna To koi Ghar B Nahi

Bs yehi Soch kr Khud ko Smjhatay Hain Aksr

Teri Yadon Se Hi Dil ko Behlaty Hain Aksr

Hm Teri Yaad k Pinjry Men Qaid panchi"

Saturday, August 6, 2011

Aankhe !!

Aankhe
Duniya ki tamam masumiyat apne andar samet leti hai,
Jab roti hai to dilo ko hila deti he,
Or
jab band hoti hai to duniya ko rula deti hai.

Zakham Koi Nahin Phir Bhi Dard Ka Ihsaas Hota Hai


"Zakham Koi Nahin Phir Bhi Dard Ka Ihsaas Hota Hai

Lagta Hai Dil Ka Koi Tukrah Aj Bhi Us Ke Paas Hai"